Friday, February 11, 2011

Gulzaar

Ek mood, ek kaifiyat geet ka chehra hota hai..

Kuch sahi se lafz jad do, maujoon se dhun ki lakeerein kheench do..

To nagma sans lene lagta hai, jinda ho jata hai..

Itni si jaan hoti hai gane ki ek lamhe ki jitni..

Haan kuch lamhe barson jinda rehte hain..

...Geet boodhe nahin hote unke chehre pe jhurriyan nahin girti..

Wo palte rehte hain chalte rehte hain..

Sune wale boodhe hojate hai to kehete hai -

“Hain … woh oos pahar ka tila jab badal se dhak jata hai to ek avaj sunai deti hai..

No comments:

Post a Comment